Skip to main content

Wo aksar bhool jata tha

Udaas shamon mein woh laut ke aana bhool jata tha,
Kar ke khafaa mujh ko manana bhool jata tha,

Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala,
Wo likh ke naam diwaron pe mitana bhool jata tha,

Mat pooch mohabbat mein la’parwahi uski,
De ke zakhm wo marham lagana bhool jata tha,

Kitna dilnashi’n hota tha uski yaad ka manzar,
Wo jab bhi yaad aata tha zamana bhool jata tha

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Here is my video i talk with aamir khan sir live. ‪#‎TalkWithAamirkhan‬ ‪#‎MumkinHai‬ ‪#‎SatyamevJayate‬

Hasrat

Dekha palat k us ne k  Hasrat usay bhi thi Hum jis pe mitt gae thay Muhabbat usay bhi thi Chupp ho gya tha dekh kar wo bhi idhr udhar Duniya se meri tarha shikayat usay bhi thi Ye soch kar Andhere galey se laga liye  Raaton ko jaagne ki Aadat usay bhi thi  Wo Ro Diya tha mujh ko Pareshaan dekh kar Us din khula k meri zaroorat usay bhi thi...!!!