Skip to main content

Tum Ho

Mera Sawan Bhi Tum Hoo
Meri Pyaas Bhi Tum Hoo ..!
Sehra Ki Bahon Main
Chupi Aas Bhi Tum Hoo..!! ♡

Tum Yun Tou Bohat Door
Bohat Door Ho Mujh Se..!
Ehsaas Ye Hota Hai
Mere Paas Bhi Tum Hoo..!! ♡

Har Zakham Ki Aaghosh Main
Hai Dard Tumhara ..!
Har Dard Main Taskeen
Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!! ♡

Kho Jao Tou Veeran Si
Ho Jati Hain Rahein ..!
Mil Jao Tou Phir Jeeny Ka
Ehsas Bhi Tum Hoo..!! ♡

Likhti Hon Tou Tum Hi
Utarty Ho Qalam Se..!
Parhti Hon Tou Lehja Bhi
Tum Awaz Bhi Tum Ho..!! ♡

Comments

Popular posts from this blog

Wo aksar bhool jata tha

Udaas shamon mein woh laut ke aana bhool jata tha, Kar ke khafaa mujh ko manana bhool jata tha, Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala, Wo likh ke naam diwaron pe mitana bhool jata tha, Mat pooch mohabbat mein la’parwahi uski, De ke zakhm wo marham lagana bhool jata tha, Kitna dilnashi’n hota tha uski yaad ka manzar, Wo jab bhi yaad aata tha zamana bhool jata tha

Hasrat

Dekha palat k us ne k  Hasrat usay bhi thi Hum jis pe mitt gae thay Muhabbat usay bhi thi Chupp ho gya tha dekh kar wo bhi idhr udhar Duniya se meri tarha shikayat usay bhi thi Ye soch kar Andhere galey se laga liye  Raaton ko jaagne ki Aadat usay bhi thi  Wo Ro Diya tha mujh ko Pareshaan dekh kar Us din khula k meri zaroorat usay bhi thi...!!!

नज़ीर नज़र की ग़ज़ल

अगर वो हादिसा फिर से हुआ तो मैं तेरे इश्क़ में फिर पड़ गया तो कि उस का रूठना भी लाज़मी है मना लूँगा अगर होगा ख़फ़ा तो मिरी उलझन सुलझती जा रही है दिखाया है तुम्ही ने रास्ता तो यक़ीनन राज़-ए-दिल मैं खोल दूँगा दिया अपना जो उस ने वास्ता तो चलो कुछ देर रो लें साथ मिल कर कोई लम्हा ख़ुशी का मिल गया तो तुझे महफ़ूज़ कर लूँ ज़ेहन-ओ-दिल में मिला है तू कहीं फिर खो गया तो नया रिश्ता निभाने की तलब में अगर टूटा पुराना राब्ता तो कलेजे से लगा कर रखते हम भी हमें वो राज़ अपने सौंपता तो 'नज़र' तुम ज़िंदगी समझे हो जिस को फ़क़त पानी का हो वो बुलबुला तो ~ नज़ीर नज़र