Skip to main content

Tere Hum Ho nahi sakte...

Na Tujhe Chod Sakte Hain Tere Ho Bhi Nahi Sakte,
Ye Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Ro Bhi Nahi Sakte,

Ye Kaisa Dard Hai Pal Pal Humein Tadpaye Rakhta Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir hum So Bhi Nahi Sakte,

Chupa Sakte Hain Aur Na Dikha Sakte Hain Logon Ko,
Kuch Aise Daag Hain Dil Par Jo Hum Dho Bhi Nahi Sakte,

Kaha To Tha Chod Deinge Ye Nagar Phir Ruk Gaye Lekin,
Tumhein Paa To Nahi Sakte Magar tumhe Kho Bhi Nahi Sakte,

Hamara ek Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab To,
Jeevan Kaise bitayenge Tum Se Door ho Bhi Nahi Sakte....

Comments

Popular posts from this blog

Raat sunti rahi

Raat sunti rahi main sunata raha dard ki dastan main btata raha Log logon se chahat nibhate rahe Ek wo tha mera dil jalata raha Dhop chaoon si uski tabiyat rahi Wo nigahein milata churata raha Dil ke mehman-khane men ronak rahi koi ata raha koi jata raha Ek main he pyasa raha mere dosto Log pite rahe main pilata raha

Shikwa

Shikwa Teri Yaado Se Is Tarah Kiya Hum Ne, Hanste Hansate Shama Ko Rula Diya Hum Ne, Ek Lamha Diya Tune Jeene Ke Liye, Aur Us Me Zindagi Ko Beeta Diya Hum Ne, Ek Saffhe Pe Likhi Teri Yaad Ki Dastan, Dusra Hissa Khaali Hi Jala Diya Hum Ne, Kiss Baat Ki Saja Dena Chahti Hai Wo, Jiss Baat Ko Sunte Hi Bhula Diya Hum Ne, Wo Kyun Nhi Kar Sakti Wafa Humse, Jiski Wafa Ki Khatir Har Rishta Bhula Diya Hum Ne .

नज़ीर नज़र की ग़ज़ल

अगर वो हादिसा फिर से हुआ तो मैं तेरे इश्क़ में फिर पड़ गया तो कि उस का रूठना भी लाज़मी है मना लूँगा अगर होगा ख़फ़ा तो मिरी उलझन सुलझती जा रही है दिखाया है तुम्ही ने रास्ता तो यक़ीनन राज़-ए-दिल मैं खोल दूँगा दिया अपना जो उस ने वास्ता तो चलो कुछ देर रो लें साथ मिल कर कोई लम्हा ख़ुशी का मिल गया तो तुझे महफ़ूज़ कर लूँ ज़ेहन-ओ-दिल में मिला है तू कहीं फिर खो गया तो नया रिश्ता निभाने की तलब में अगर टूटा पुराना राब्ता तो कलेजे से लगा कर रखते हम भी हमें वो राज़ अपने सौंपता तो 'नज़र' तुम ज़िंदगी समझे हो जिस को फ़क़त पानी का हो वो बुलबुला तो ~ नज़ीर नज़र