Skip to main content

Hasrat


Dekha palat k us ne k Hasrat usay bhi thi
Hum jis pe mitt gae thay Muhabbat usay bhi thi
Chupp ho gya tha dekh kar wo bhi idhr udhar
Duniya se meri tarha shikayat usay bhi thi
Ye soch kar Andhere galey se laga liye 
Raaton ko jaagne ki Aadat usay bhi thi 
Wo Ro Diya tha mujh ko Pareshaan dekh kar Us din khula k meri zaroorat usay bhi thi...!!!

Comments

Popular posts from this blog

Wo aksar bhool jata tha

Udaas shamon mein woh laut ke aana bhool jata tha, Kar ke khafaa mujh ko manana bhool jata tha, Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala, Wo likh ke naam diwaron pe mitana bhool jata tha, Mat pooch mohabbat mein la’parwahi uski, De ke zakhm wo marham lagana bhool jata tha, Kitna dilnashi’n hota tha uski yaad ka manzar, Wo jab bhi yaad aata tha zamana bhool jata tha

नज़ीर नज़र की ग़ज़ल

अगर वो हादिसा फिर से हुआ तो मैं तेरे इश्क़ में फिर पड़ गया तो कि उस का रूठना भी लाज़मी है मना लूँगा अगर होगा ख़फ़ा तो मिरी उलझन सुलझती जा रही है दिखाया है तुम्ही ने रास्ता तो यक़ीनन राज़-ए-दिल मैं खोल दूँगा दिया अपना जो उस ने वास्ता तो चलो कुछ देर रो लें साथ मिल कर कोई लम्हा ख़ुशी का मिल गया तो तुझे महफ़ूज़ कर लूँ ज़ेहन-ओ-दिल में मिला है तू कहीं फिर खो गया तो नया रिश्ता निभाने की तलब में अगर टूटा पुराना राब्ता तो कलेजे से लगा कर रखते हम भी हमें वो राज़ अपने सौंपता तो 'नज़र' तुम ज़िंदगी समझे हो जिस को फ़क़त पानी का हो वो बुलबुला तो ~ नज़ीर नज़र